सारे जहाँ से अच्छा | Sare Jahan se Accha | ஸாரே சஹாஸெ அச்சா | సారే జహాసె అచ్ఛా | સારે જહાસ અચ્છા | ସାରେ ଜହାସ ଅଚ୍ଛା
Sare jahan se accha hindustan hamara
Hum bulbulain hain iski yeh gulsitan hamara
Ghurbat mein hon agar hum rahta hai dil vatan mein
Samjho vahin humein bhi dil hai jahan humara......
Parvath woh sab se uncha humsaya asman ka
Woh santari humara woh pasban hamara......
Godi mein khelti hain is ki hazaron nadiyan
Gulshan hai jin ke dam se rashk-e-jinaan hamara....
Aye ab raud ganga voh din hen yad tujhko
Utara tere kinare jab karvan hamara......
Mazhab nahin sikhata apas men bayr rakhna
Hindi hai ham vatan hai hindostan hamara......
Yunan o misr o roma sab mil gaye jahan se
Ab tak magar hai baqi nam o nishan hamara.......
Kuch bat hai keh hasti milati nahin hamari
Sadiyon raha hai dushman daur e zaman hamara.....
Iqbal koi meharam apna nahin jahan men
Malum kya kisi ko dard e nihan hamara.......
Sare jahan se accha hindostan hamara
Ham bulbulain hai is ki yeh gulsitan hamara........
Author: Muhammad Iqbal

Sare jahan se accha......

Comments
Post a Comment