सारे जहाँ से अच्छा | Sare Jahan se Accha | ஸாரே சஹாஸெ அச்சா | సారే జహాసె అచ్ఛా | સારે જહાસ અચ્છા | ସାରେ ଜହାସ ଅଚ୍ଛା
Sare jahan se accha hindustan hamara Hum bulbulain hain iski yeh gulsitan hamara Sare jahan se accha...... Ghurbat mein hon agar hum rahta hai dil vatan mein Samjho vahin humein bhi dil hai jahan humara...... Parvath woh sab se uncha humsaya asman ka Woh santari humara woh pasban hamara...... Godi mein khelti hain is ki hazaron nadiyan Gulshan hai jin ke dam se rashk-e-jinaan hamara.... Aye ab raud ganga voh din hen yad tujhko Utara tere kinare jab karvan hamara...... Mazhab nahin sikhata apas men bayr rakhna Hindi hai ham vatan hai hindostan hamara...... Yunan o misr o roma sab mil gaye jahan se Ab tak magar hai baqi nam o nishan hamara....... Kuch bat hai keh hasti milati nahin hamari Sadiyon raha hai dushman daur e zaman hamara..... Iqbal koi meharam apna nahin jahan men Malum kya kisi ko dard e nihan hamara....... Sare jah...